Deyaar-e-Ghair Main Kesay Tujhay Sada DetayKoi Chaaon Ho
02 Apr 2012 Leave a Comment
Deyaar-e-ghair main kesay tujhay sada detay
Tu mil bhi jaata to tujhay ganva detay
Tumhi ne hum ko na sunaaya dukh apna
Dua vo kartay keh aasmaa.n hum hila detay
Hamain ye zom raha keh ab vo pukaarain ge
Unhain ye zidd thee keh har baar hum sada detay
Vo tera gham tha ya taaseer meray lehjay ki
Keh jis ko haal sunaatay usay rula detay
Tumhain bhulaana he avval to dastaras main nahin
Jo ikhtiyaar bhi hota to kiya bhula detay
Tumhaari yaad ne koi javaab he na diya
Meray kheyaal ke aansu rahay sada detay
Sama’ton ko main ta-umr kosta Syed
Vo kuch na kehtay magar hont to hila detay
Teri Khushbu Ka
02 Apr 2012 Leave a Comment
Teri Khushbu Ka
02 Apr 2012 Leave a Comment
Teri khushbu ka pata karti hai
Na Shikayatain Na Gila Karay
02 Apr 2012 Leave a Comment
Na shikayatain na gila karay
Koi aisa shakhs hua karay
Jo meray liye he saja karay
Mujh he se baatain kiya karay
Kabhi roye jaaye vo bepanaah
Kabhi betahasha udaas ho
Kabhi chupke chupke dabay qadam
Meray peechay aa ker hansa karay
Meri qurbatain meri chahatain
Koi yaad rakkhay qadam qadam
Main taveel safar mein hoon agar
Meri vaapsi ki dua karay
Shair
30 Mar 2012 Leave a Comment
Iss Leyay Koye Zeyada Nahin Rukta Hay yahan
Loog Kahtay Hain Mayray Dil pay Tayra Saya hay..



